Friday, July 9, 2010

Meri bhi toh suno!

Admit hua that mein KLE mein,
jaan leke apni thaili mein,
mera liver shayad hua that kharab,
jiska karan tha meri pyari sharab.
badh gaya that pet mera, pad gaya that main peela,
phenk doonga sharab bhagwan, bus is bar jeevan daan dila.

kyoya tha yunhi main apne khayyalon mein,
ki prakat hui wahan ek padhaku doctoron ki toli.
chashmein chadhae, sthets latkaye,
soortein sabki thi bholi.
meri taraf ishara karke, bole 'dekho woh hai exam case'
meri aur badhne ke liye sabhi ne lagayi runnin race.
gher liya that mujhe bees ashcharya chakit chehron ne,
doob rahi thi meri jeevan naiyya, jaan leva lehron mein.
chalis ankhein ghoor rahi thi mujhe jaise ki tha mein kisi doosre lok se,
utarne pade mujhe apne kapde, main mar raha tha sankoch se.
phir toota mujhpar aisa sawalon ka pahad,
history taking ke naam par, gade murde rahe the ukhad.
ghusa diye mere pet mein unhone teen hath,
koi janch raha tha nakhoon mere, koi janch raha tha daat.
meri chati par rakhe the 6 stethescope,
main khud mana raha tha meri is sthiti par shok.
dard uth raha tha pet mein bada zor,
mera pet channane ke liye sabhi macha rahe the shor.
muh se saans lenese ab lag rahi thi dhaanp,
pet ko hath lagane se hi mera rom rom raha tha kaap.

meri sehen shakti ki ho gayi seema par,
maine bhi dharan kar liya narasimha avtaar.
chillaya main unpar aise, dar gaye sab sab,
dotori padhte padte shayad bhool gaye insaniyat ka masahab.
maafi maang kar jab chale ja rahe the, non co operative patient ka nara laga rahe the.
unke jane ke baad, maine chain ki saans payi,
takiye par let kar muskurakar apni khushi jatayi.
meri aankh lagne ke khuchi ghante baad,
sunayi di ward mein ek nayi awaz.
' us cirrhosis ke patient ka case presentation hai aaj'
mujhe phirse ghere khadi thi eknayi doctoron ki toli,
jee kar raha tha gadh doon har ek ke seene mein ek ek goli!!!!!!!!!!!
_________________

No comments:

Post a Comment