Sunday, May 16, 2010

VISHWAS

Admit hue the Vishnu acute G.E. ke saath,

Lagatar thi ultilyaan, bure the haalat,

I.V. Fluids anur Antibiotics se, kum nahi hui mushkil,

Agle din dekha toh, urine output that NIL!

Unka face tha flushed aur breathing tha acidotic,

Sabhi the signs of Uremia,

Acute gastroenteritis with acute reanl failure

secondary to hypovolemia!

Zameen pe neeche baithe the unke budhe pitaji,

Ghoonghat odh ke paas baithi thi unki garbhavati patni.

Maine samjhaya unke pita ko ki khatre mein thi Vishnu ki jaan,

Dialysis karwana hi tha ab, dawaiyon se na banta kaam.

Samay bas beet raha tha, aur upar se paison ki kami,

Woh buzurg bechare baithe the aur ro rahi thi patni,

Ab dikhne laga tha mujhe wahan maut ka woh saaya,

Dialysis ka appointment maine pehle hi karwaya

.

Chillayi main unpar “nahi hai bete ki parwah?

Kisi bhi tarah shaam tak paise ka bandobast karwana,

Waqt jaise guzar raha hai, kum ho raha hai kidney ka function,

Mortality meeting mein mujhe karna padega presentation!

Explain nahi kar paungi main ek treatable cause ki death,

Kisi bhi tarah paise lana nahi toh iska marna hi set!”

“Thik hoga na mera beta, dialysis ke baad?,

Meri budhe shareer ne chod di hai mann ki saath,

Aap hi hain bhagwan mere, lagaya hai maine aap ka dhyas,

Bachlengi aap mero bete ko, aisa poora hai mera vishwas!”

3 Dialysis ke baad aaj khade the vishnu apne pairon par,

Maine apne sign ki, unka discharge card likh kar

Patni ne beche the gehene aur pita ne becha tha ghar ka saaman,

Aur mere pair pad rahe the teenon, mankar mujhe apna bhagwan,

Teenon ne jab mere saamne jode the haath,

Mere mann ko kha rahi thi ab ek hi baat,

Main khak bachati hoon kisiki jaan,

Mujhe toh bas pyara tha apna maan!

Jeevan ki dhor toh thi uparwale ke haath,

Waqt aane par lega woh usko kaat,

Doctor nahi hota koi bhagwan,

Woh bhi hai seedha sada galti karne wala insaan!