Tuesday, January 19, 2010

LABOUR ROOM

Cheekti cillati ek mahila ne, mari labour room mein entry,

4 delivaries karke raat bhar, hum abhi abhi hue the free.

Ghadi mein ab baj rahe the, subah ke che,

Kul milakar hum teenon, bus 2-2 ghante soye the.

Colleague bola ‘let she not be dilated , oh dear lord!!,

We badly want to send her back to the ward.’

Doosri karne lagi p.v. pehen kar gown,

‘congrats friends, she is full, no time to frown!’

30yrs ki anuradha, G3P2, ANC thi regular,

no complications lekar history, rakh diya maine paper.

‘zor do’ ke naare lagaye humne, ab tha 2nd stage of labour,

‘bearing down’ accha nahi tha uska, lagaya mere friend ne fundal pressure.

Humne hi zor lagaya aur ki uski delivery,

Labour room mein aayi, 2.5kg ki nanhi pari!

Cord clamp aur cut karke, humne rakha baby ko heater ke paas,

Acchi cry thi uski aur le rahi thi woh khul ke saans.

Uski moti thi aankhein, gulabi the gaal aur kaan,

Chotisi uski unguliyan dekhkar, mitgayi hamari thakan.

‘Ladki hui ya ladka?’ andarse anuradha chillayi,

main boli ‘ bacchi hui hai, tumhari chabi hai payi’

yeh baat sunkar, dukhi hokar, anuradha lagi rone,

bacchi ko dekar sister ke haat, gher liya usse hum teenon ne.

woh boli ‘ladka hone ki aas se, maine liya yeh teesra chance,

phir se ladki hui mere ghar, tooti har iccha, har aas’.

Hum bole ‘ ladka ladki mein phark mat karo,

Bacche toh hai prabhu ka vardan,

Teenon ladkiyonko, padhana-likhana,

Banana unhein accha insaan.’

‘Agar ladka hota’ boli woh , ‘aage chalata khandan ka naam,

dahej dekar bhejna padega teenon ko, nahi aayegi kisike kaam.’

‘arre hum bhi toh hain ladkiyan’ hum bole,

‘beti ban paida hui kisike ghar,

doctor banke humnein,

oonch kiya apne ma baap ka sar’

bacchi ko ab rakha humnein anuradha ke haaton mein,

bhooki thi woh, bhool gaye hum use apni baton mein.

Use dekh anuradha muskurayi, apne aansoon pochkar,

Doodh dene lagi use, apne seene se lagakar.

Tabhi humnein kiya usse tubectomy ka zikar,

Ghusse se dekha usne hamari aur, pher li apne nazar.

Khatam hui thi duty hamari, ja rahe the hum bahar,

Labour room ke saare cases, agle interns ko sonpkar.

Meri books aur meri bag leke, jab main ja rahi thi,

Ek baat mere mann ko ab noch ke kha rahi thi.

Doctor banane ka jhoota dilasa kise de rahe the hum,

Do waqt ki roti milna, jinke naseeb mein tha kam.

Main toh thi acche gharse, nahi hui mujhe paison ki kami,

apni tulna kar rahi thi un bacchon se, jala rahi thi jinhe bhook ki garmi.

Aur har bacchi ke saath paida hua woh , dahej ka rakshas,

Zeher gholta uss parivaar mein, daba raha tha unki har nass.

Aayegi zaroor agle saal anuradha, jab hogi woh chauti baar pet se,

Phirse ladka hone ki aas lagaye, apne due date se.

Kaise ro sakti koi ma, dekhkar apne haaton mein apni nanhi jaan,

Jabki who khud ek aurat hai, prapt hai sirf usko jeevan dene ka vardan.

Ek stree hone par hai mujhe garv, nahi mahsoon ki maine koi lachari,

Lekin sacchi khushi toh tab hogi, jab mitjayegi ‘SEXUAL DISCRIMINATION’ ki yeh bimari!!!!

Friday, January 15, 2010

My confession :)

Paediatric ward mein main baithi thi khoyi,

Raat bhar ki night duty mein ek palak bhi na soyi,

Aur subah khayi hod sir se aisi daant,

Sare staff ke samne lagadi unhone meri waat!

Ghusse se jal rahi thi main sunkar hod sir ka naam,

Naye interns se expect karte hain pg wala kaam.

Kaash main banyi iss hospital ki dean,

Poore hospital ke saamne deti sir ko firing

Aur likhkar unka resignation letter,

Seedha bhejti unko apne ghar par.

Lag rahi thi ab mujhe bhook badi zor,

Pet mein chuhe kauve macha rahe the shor.

Ghadi main baj rahe the dopahar ke do,

Mann ne kaha canteen mein pet pooja kar lo.

Lekin hilna wahan se mushkil tha,

Ho sakta tha sir ka aftern round,

Har aahat mein sunayi de raha tha unhi ke jooton ka sound.

Ab phir se sunayi di jooton ki aahat,

Sunn ho gaya dimag, tez hui dhadkan.

Mudkar dekha toh khadi thi wahan ek gudiya,

Pedo ward ki favorite patient, chotisi priya!!

Daudti hasti priya, mere paas aayi,

Boli ‘did maine yeh drawing banayi’

Chotese ghar ke paas bane the do bade phool,

Uski tariff karte karte main hod ko gayi bhool.

Phir boli priya ‘main banoongi ek din doctor,

Injection doongi sabko, white coat pehenkar’

Apna sthet uske kanon mein lagate hi, uski aankhein chamak aayi,

Pehle saans aur phir usko manine uski dhadkan sunayi.

Khilkhilati priya, apne maa ke paas aayi,

‘me pan atta doctor zhale aayi’

bhar aayi uski maa ki aankhein, who phoole na samayi,

bhook, pyas, daant bhoolkar, ab main bhi muskurayi.

Syringe aur form lekar sister boli

‘dr bhejna hai aaj priya ka khoon’

nasoor chuba mere dil par,

meri galti ki saza bhukte gi yeh masoom.

Chulbuli hast khelti priya,thi ek itp ki case,

Spontaneous bleeding episodes se khel rahi thi who maut ki race.

Uske platelet count ke liye bheja maine sample plain,

Clot hua tha sample poora, har boond gayi in vain!

Bole the sir subah mujhe ‘imagine being in her place

All new interns are morons, abig disgrace!’

Edta aur gloves rakhein the ek saath,

Rone lagi priya ab, dekh kar injection mere haath.

Dus logon ne thama tha cheekhti chillati priya ko,

Sui choobhne wali thi mujhe seedha dil ko, mann ko.

Hazaar baar prick kiye uske haathon mein, mushkil se mili ek vein.

Lakhon suiyan lagi mujhe mehsoos kar rahi thi main uski pain.

Requisition form bhar kar sample diya maine sister ke haath,

Priya se mafi mangkar, maine karni chahi priya se baat.

Rooth kar baithi thi priya mujhse, ro kart hi behaal.

Mere mann mein uth rahe the anginat sawal.

Mere sare credentials, mere who medals gold,

Kya kabhi chuka payenge, iss masoom ke aansoonon ka mol?

Kaash hod sir daant ki jagah, de dete mujhe faasi,

Chain se le pati main aakhri saans, khushi hoti zarasi.

Meri galti ki saza, mili iss nanhi jaan ko,

Gir gayi main apni aankhon mein, thes lagi mere iman ko.

Poonch kar apne aansoon, priya ne

Announce kiya apna plan of action,

‘doctor banke main sabse pehle lagaoongi,iss didi ko injection,

badi sui lagakar, nikaloongi did ka khoon,

royegi did bhi meri tarahsoon soon’

tabhi ward mein ek hasin ke leher chayi,

phirse priya khilkhilakar muskurayi,

use gale lagakar, di maine ek jadoo ki jhappi,

uss masoom ne maaf kiya mujhe, dekar ek pyar bhari pappi.

Mera sthet lagakar, kar rahi thi priya,apne gudiyon ki jaanch,

Pooch rahi thi main apne aap se, kar paungi main khud ko maaf???????